nam behad the magar un ka nishan koi na tha
bastiyan hi bastiyan thin pasban koi na tha
KHurram-o-shadab chehre sabit-o-sayyar dil
ek zamin aisi thi jis ka aasman koi na tha
kya bala ki sham thi subhon shabon ke darmiyan
aur main un manzilon par tha jahan koi na tha
kukti thi bansuri chaaron dishaon mein 'munir'
par nagar mein us sada ka raaz-dan koi na tha
Ghazal
Nam behad the magar un ka nishan koi na tha
Muneer Niyazi