nalon se mere kab tah-o-baala jahan nahin
kab aasman zamin-o-zamin aasman nahin
qatil ki chashm-e-tar na ho ye zabt-e-ah dekh
jun shama sar kaTe pe uTha yan dhuan nahin
ai bulbulan-e-shoala-dam ek nala aur bhi
gum-karda-rah-e-bagh hun yaad aashiyan nahin
is bazm mein nahin koi aagah warna kab
wan KHanda zer-e-lab udhar ashk-e-nihan nahin
ai dil tamam nafa hai sauda-e-ishq mein
ek jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin
naz-o-nigah rawish sabhi lagu hain jaan ke
hai kaun ada wo teri ki jo jaan-sitan nahin
milna tera ye ghair se ho bahr-e-maslahat
hum ko to sadgi se teri ye guman nahin
aazurda tak bhi kuchh na hai us ke ru-ba-ru
mana ki aap sa koi jadu-bayan nahin
Ghazal
Nalon se mere kab tah-o-baala jahan nahin
Mufti Sadruddin Aazurda