nalon se agar main ne kabhi kaam liya hai
KHud hi asar-e-nala se dil tham liya hai
aazadi-e-andoh-faza se hai rihai
ab main ne kuchh aaram tah-e-dam liya hai
uThti thin umangen unhen baDhne na diya phir
main ne dil-e-nakaam se ek kaam liya hai
juz mashghala-e-nala o fariyaad na tha kuchh
jo kaam ki dil se sahar o sham liya hai
KHud puchh lo tum apni nigahon se wo kya tha
jo tum ne diya main ne wo paigham liya hai
tha tera ishaara ki na tha main ne diya dil
aur apne hi sar jurm ka ilzam liya hai
gham kaise ghalat karte judai mein teri hum
DhunDa hai tujhe hath mein jab jam liya hai
aaram ke ab nam se main Darne laga hun
taklif uThai hai jab aaram liya hai
malum nahin KHub hai jo waqif-e-fan hain
'wahshat' ne mahakat se kya kaam liya hai

Ghazal
Nalon se agar maine kabhi kaam liya hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi