nale mere jab tak mere kaam aate rahenge
ai zauq-e-nazar wo lab-e-baam aate rahenge
ai zauq-e-talab tu jo salamat hai to kya gham
lab tak mere KHud jam pe jam aate rahenge
dil zinda agar ho to phir ai zist ke talib
har gam pe jine ke payam aate rahenge
manzil ki tamanna hai to Thukra ke nikal ja
sayyaad liye dana-o-dam aate rahenge
kha jao na dhoka kahin manzil ke guman par
raste mein kuchh aise bhi maqam aate rahenge
'aKHtar' agar aabaad rahe gul-kada-e-dil!
phir is mein to kuchh mast KHiram aate rahenge
Ghazal
Nale mere jab tak mere kaam aate rahenge
Akhtar Muslimi