اردو हिंदी
Nale mein kabhi asar na aaya | Shaahi Shayari
nale mein kabhi asar na aaya

Ghazal

Nale mein kabhi asar na aaya

Bekhud Badayuni

;

nale mein kabhi asar na aaya
is naKHl mein kuchh samar na aaya

allah-ri meri be-qarari
chain un ko bhi raat bhar na aaya

kahta hun ki aa hi jaega sabr
ye fikr bhi hai agar na aaya

ghaflat ke paDe hue the parde
wo pas raha nazar na aaya

aankhon se hua jo koi ojhal
'beKHud' mujhe kuchh nazar na aaya