nala rukta hai to sar-garm-e-jafa hota hai 
dard thamta hai to be-dard KHafa hota hai 
phir nazar jhenpti hai aankh jhuki jati hai 
dekhiye dekhiye phir tir KHata hota hai 
ishq mein hasrat-e-dil ka to nikalna kaisa 
dam nikalne mein bhi kam-baKHt maza hota hai 
haal-e-dil un se na kahta tha hamin chuk gae 
ab koi baat banaen bhi to kya hota hai 
aah mein kuchh bhi asar ho to sharar-bar kahun 
warna shoala bhi haqiqat mein hawa hota hai 
hijr mein nala-o-fariyaad se baz aa 'ruswa' 
aisi baaton se wo bedard KHafa hota hai
        Ghazal
Nala rukta hai to sar-garm-e-jafa hota hai
Mirza Hadi Ruswa

