اردو हिंदी
Nala karna ki aah karna | Shaahi Shayari
nala karna ki aah karna

Ghazal

Nala karna ki aah karna

Meer Asar

;

nala karna ki aah karna
dil mein 'asar' us ke rah karna

kuchh KHub nahin ye teri baaten
har-chand mujhe nibah karna

tera wo jaur ye mera sabr
insaf se Tuk nigah karna

kya lutf hai le ke dil mukarna
aur ulTe mujhe gawah karna

rahmat ke huzur be-gunahi
mat shaiKH ko ru-siyah karna

ji ab ke bacha KHuda KHuda kar
phir aur buton ki chah karna

kya kahiye 'asar' to aap Tuk dekh
yun haal apna tabah karna