اردو हिंदी
Nala-e-dil ki sada diwar mein hai dar mein hai | Shaahi Shayari
nala-e-dil ki sada diwar mein hai dar mein hai

Ghazal

Nala-e-dil ki sada diwar mein hai dar mein hai

Shoaib Ahmad Merathi Nudrat

;

nala-e-dil ki sada diwar mein hai dar mein hai
sur ya mahshar mein hoga ya hamare ghar mein hai

yun to marne ko marunga main magar miTTi meri
ya falak ke hath mein ya aap ki Thokar mein hai

main pareshan ho ke niklunga to un ki bazm se
meri barbaadi ka saman hai to un ke ghar mein hai

wo agar dekhen to ab haalat sambhalti hai meri
wo agar puchhen to ab mujh ko shifa dam-bhar mein hai

ye nahin mauqa hansi ka tum nazar badle raho
ab qaza meri isi bigDe hue tewar mein hai

de de chullu mein ikaTThi kar ke ai saqi mujhe
kuchh abhi to KHum mein hai shishe mein hai saghar mein hai

naqd-e-jaan lene ko maqtal mein qaza nudrat meri
ban ke dulhan runuma aaina-e-KHanjar mein hai