naKHuda bhi nahin KHuda bhi nahin
koi mera tere siwa bhi nahin
muddaa ghair muddaa bhi nahin
aur hasrat ka puchhna bhi nahin
kahish-e-gham harif-e-jaan hi sahi
gham na ho to yahan maza bhi nahin
shisha-e-dil to chor hai lekin
aasra hai ki TuTta bhi nahin
husn ka aks hai hijab-e-nazar
phir junun ko to sujhta bhi nahin
bazm se un ki uTh gaya KHud main
koi pursan-e-haal tha bhi nahin
ishq mein paD ke luT gaya 'raazi'
un ko gham hai ki kuchh hua bhi nahin
Ghazal
NaKHuda bhi nahin KHuda bhi nahin
Khaleel Raazi