nakaam meri koshish-e-zabt-e-alam nahin
yun mutmain hun jaise mujhe koi gham nahin
tarikiyon mein aaj bhi gum hai wo rahguzar
jis ko nasib aap ke naqsh-e-qadam nahin
is daur mein ki jis mein hai jins-e-wafa ka qaht
hum se wafa-shiar jo baqi hain kam nahin
tere siwa kisi se ujalon ki bhik le
kam-zarf is qadar to meri sham-e-gham nahin
bikhre hue se 'rahi' ye auraq-e-zindagi
apni hayat zulf-e-pareshan se kam nahin
Ghazal
Nakaam meri koshish-e-zabt-e-alam nahin
Rahi Shahabi