nagin hai zulf-e-yar na zinhaar dekhna
uD uD ke kaTti hai KHabar-dar dekhna
kahte hain log mujh se ye kha kha ke ab qasam
KHunKHar hai ye shoKH sitamgar dekhna
shirin dahan na bujhiyo hain shahd ki chhuri
hans hans ke jaan len hain ye atwar dekhna
kahta hun dar jawab unhon ke mein ru-ba-ru
chaho so ho par mujhe ek bar dekhna
qabu mein aata to nahin hai mere raqib
kahin dad ban gaya to mere yar dekhna
shana samajh ke kijiyo zulfon ko apni yar
uljha hai us mein dil ye giraftar dekhna
dil KHush hua kahin to phir apna ye hai shiar
ja kar ke bagh mein gul-o-gulzar dekhna
apni nazar to 'nayan' KHuda par hai ho so ho
jo aan baz khae so lachaar dekhna
Ghazal
Nagin hai zulf-e-yar na zinhaar dekhna
nayan sukh