nafe hai kuchh to wo kisi faizan hi ka hai
warna talluqa mera nuqsan hi ka hai
kulfat hai sab ki sab ye tawaqqo ke nam ki
jo bhi kiya dhara hai ye imkan hi ka hai
mal-o-manal dast-gah-e-hadsat ka
rahte hain gar bahaal to ausan hi ka hai
manzar wo hai ki jo kabhi shashdar na kar sake
hairat ye hai ki dida-e-hairan hi ka hai
ilzam KHud hun main yahan hasti ke nam par
mera wajud asl mein bohtan hi ka hai
tafsil mein to simTa hua hi tha inkisar
ijmal bhi ye ijz ke unwan hi ka hai
aaKHir ayan hua ki marasim ki zail mein
asbab-e-dil-shikastagi paiman hi ka hai
jab tak ba-dosh rahta hai rahta hun gamzan
mera safar haqiqatan saman hi ka hai
utre wo naw-e-shauq se ho Dubna jise
sahil mizaj-e-bahr ka tufan hi ka hai
aawargan ke waste kirdar dasht ka
anjam-kar hita-e-zindan hi ka hai
ja-e-panah us ki koi dusri nahin
'KHawar' kahin ka hai to bayaban hi ka hai
Ghazal
Nafe hai kuchh to wo kisi faizan hi ka hai
Khaavar Jilani