اردو हिंदी
Nadan kahan tarab ka sar-anjam aur ishq | Shaahi Shayari
nadan kahan tarab ka sar-anjam aur ishq

Ghazal

Nadan kahan tarab ka sar-anjam aur ishq

Insha Allah Khan u0027Inshau0027

;

nadan kahan tarab ka sar-anjam aur ishq
kuchh bhi tujhe shuur hai aaram aur ishq

lene na dewenge mujhe Tuk chain jite ji
dushman ye dono gardish-e-ayyam aur ishq

yan ghash hain shauq-e-tauf hain yaran-e-kaba ko
ai nama-bar tu kahiyo ye paigham aur ishq

kya nam le ke us ka pukara karun ki yan
rakhta hai har zaban mein ek nam aur ishq

puchha kisi ne qais se tu hai mohammadi
bola wo bhar ke aah ki islam aur ishq

asbab-e-kaenat se bas ho ke be-nawa
'insha' ne intiKHab kiya jam aur ishq