nadan hoshiyar bane jin ke rup se
wo bhi jhulas gae hain hawadis ki dhup se
hamrah ajnabi ke bahut dur tak gaya
chehra tha milta julta zara un ke rup se
kaisi hawa ye aai gulistan se garm garm
kya phul shoale ban gae sawan ki dhup se
kya kya na hadse mere dil par guzar gae
lekin shaguftagi na gai rang-rup se
'wajid' use na manzil-e-maqsud mil saki
ghabra ke rah gaya jo masaib ki dhup se
Ghazal
Nadan hoshiyar bane jin ke rup se
Wajid Sahri