nadan dil-fareb mohabbat na kha kabhi
duniya mein kis ne ki hai kisi se wafa kabhi
aisa bhi ittifaq junun mein hua kabhi
main hanste hanste soch ke kuchh ro paDa kabhi
baiTha hun is umid pe ek rahguzar par
le aae is taraf tujhe shayad KHuda kabhi
ai dil ye mera husn-e-samaat na ho kahin
tu ne bhi kya suni hai wo aawaz-e-pa kabhi
us rashk-e-gul ke sath gai thi KHiram ko
phir lauT kar idhar nahin aai saba kabhi
'rifat' ghamon ki tez hawaon ke bawajud
hum ne charagh dil ka na bujhne diya kabhi
Ghazal
Nadan dil-fareb mohabbat na kha kabhi
Rifat Sultan