na wo masarrat gunah mein hai na wo kashish ab sawab mein hai
KHarab-e-saman-e-zindagi sab jahan ki bazm-e-KHarab mein hai
hasin be-shak hai bazm-e-anjum qamar bhi han kuchh hisab mein hai
magar yahan tu hi tu hai yakta sawal tere jawab mein hai
yahan hai bekar us ki hasrat yahan ki wo chiz hi nahin hai
kare wo rahat ki justuju kyun jo is jahan-e-KHarab mein hai
paDi hai bebak jis pe us ko pila diya ek jam-e-masti
bala ki masti bhari hui us nigah-e-mast-e-shabab mein hai
badal gai hai nigah-e-saqi to rang-e-mahfil badal gaya hai
na ab wo pahli si mai-kashi hai na wo maza ab sharab mein hai
suna tha hum ne ki hashr mein wo dikhane wale hain apna jalwa
magar jo dekha to aaj bhi wo jamal-e-rangin naqab mein hai
dikha raha hai uchhal uchhal kar ye sab ko josh-e-numud-e-ghafil
ki goya dariya-e-be-karan ek nihan jahan-e-habab mein hai
kahan wo naghmon mein soz-e-mutrib kahan wo aish-o-tarab ki duniya
kahan wo pahla sa kaif baqi sada-e-chang-o-rabab mein hai
hazaron ranginiyan bhi dekhin hazar jalwe bhi hum ne dekhe
magar jo phir ghaur kar ke dekha to husn-e-mutlaq hijab mein hai
jahan ke sab ranj-o-gham miTa de mere muqaddar ko phir jaga de
ilahi 'KHushtar' ki iltija ye mudam teri janab mein hai
Ghazal
Na wo masarrat gunah mein hai na wo kashish ab sawab mein hai
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar