اردو हिंदी
Na-tawani mein palak ko bhi hilaya na gaya | Shaahi Shayari
na-tawani mein palak ko bhi hilaya na gaya

Ghazal

Na-tawani mein palak ko bhi hilaya na gaya

Zain-ul-Abideen Khan Arif

;

na-tawani mein palak ko bhi hilaya na gaya
dekh ke un ko ishaare se bulaya na gaya

saKHt-tar sang se bhi dil hai unhon ka shayad
naqsh jis par kisi unwan biThaya na gaya

gulshan-e-KHuld mein har-chand ki dil bahlaya
kucha-e-yar magar dil se bhulaya na gaya

shikan-e-zulf se dil saf nazar aata hai
is andhere mein tajjub hai chhupaya na gaya

dekh kar kal wo mera haal-e-pareshan 'arif'
aisa ghabrae ki aankhon ko churaya na gaya