na-tawani mein bhi wo kirdar hona chahiye
apne hi kandhe pe apna bar hona chahiye
ye KHayal aane laga hai kis tawaqqo par tumhein
rah mein har peD saya-dar hona chahiye
shahr bhar mein saKHt jaani ke liye mashhur hun
meri KHatir ek na ek aazar hona chahiye
mera dushman dur tak koi nahin mere siwa
aur dushman se mujhe hoshiyar hona chahiye
ye subuk-saran-e-sahil kis qadar hain mutmain
in ke aage bhi koi manjhdar hona chahiye
phul ki patti se bhi nazuk hai kuchh dil ka mizaj
log kahte hain mujhe talwar hona chahiye
maut ke aaseb se 'raunaq' abas Darte hain log
zindagi bhar zindagi se pyar hona chahiye

Ghazal
Na-tawani mein bhi wo kirdar hona chahiye
Raunaq Naeem