na-tawani ke sabab yan kis se uTTha jae hai
aah uThne ki kahen kya dam hi baiTha jae hai
naza mein har-chand hum chahen hain do baaten karen
kya karen maqdur kab hai kis se bola jae hai
aamad o raft un ki yan saat-ba-saat hai wahi
kab tabibon ka hamare sar se balwa jae hai
ja-e-riqqat hai meri haalat to ab ai ham-nashin
panw kya sidhe karun main dam hi ulTa jae hai
tegh-e-abru tir-e-mizhgan sab rakhe hain san par
in dinon us ki taraf kab hum se dekha jae hai
zaKHm-e-dil se mujh ko ek aati hai bu-e-uns si
us ke kuche ki taraf shayad ye rasta jae hai
'mushafi' tu ishq ki wadi mein aaKHir luT gaya
is bayaban mein koi nadan tanha jae hai
Ghazal
Na-tawani ke sabab yan kis se uTTha jae hai
Mushafi Ghulam Hamdani