na-tawan wo hun ki dam bhar nahin baiTha jata
wo bulate to abhi uTh ke main dauDa jata
but-kade mein bhi gaya kaba ki jaanib bhi gaya
ab kahan DhunDhne tujh ko tera shaida jata
kyun ji kyun ghair ki baaton ka to dete ho jawab
hum jo kuchh puchhen to munh se nahin phuTa jata
yak-ba-yak tark na karna tha mohabbat mujh se
KHair jis tarah se aata tha wo aata jata
kah ke ye Tal gae baalin se ayaadat ko jo aae
ab tera haal-e-pareshan nahin dekha jata
KHwahish-e-dasht-nawardi kabhi hoti na mujhe
bewafa tu mere ghar par kabhi aata jata
KHak phulun-phalun is gulshan-e-viran mein 'haqir'
bagh-e-hasti se KHizan ka nahin khaTka jata
Ghazal
Na-tawan wo hun ki dam bhar nahin baiTha jata
Haqeer