na-tawan ishq ne aaKHir kiya aisa hum ko
gham uThane ka bhi baqi nahin yara hum ko
dard-e-furqat se tere zoaf hai aisa hum ko
KHwab mein bhi tere dushwar hai aana hum ko
josh-e-wahshat mein ho kya hum ko bhala shukr-e-libas
bas kifayat hai junun daman-e-sahra hum ko
rahbari ki dahan-e-yar ki jaanib KHat ne
KHizr ne chashma-e-haiwan ye dikhaya hum ko
dil gira us ke zanaKHdan mein fareb-e-KHat se
chah KHas-posh tha ai wae na sujha hum ko
wah kahidgi-e-jism bhi kya kaam aai
bazm mein the pa raqibon ne na dekha hum ko
qalib-e-jism mein jaan aa gai goya 'shibli'
moajaza fikr ne apni ye dikhaya hum ko
Ghazal
Na-tawan ishq ne aaKHir kiya aisa hum ko
Shibli Nomani