na-shanasi ka hamesha gham raha
aaina bhi apna na-mahram raha
aag hai us par hai ye be-shoalagi
apne jalne ka ajab aalam raha
sare unche ghar hawa ki zad mein the
mera malba tha jo mustahkam raha
main bhi sail-e-arzu mein bah gaya
wo bhi gharq-e-garmi-e-shabnam raha
hum gire bhi to ana ke ghaar mein
TuTte par bhi wahi dam-KHam raha
ab hai 'haali' be-niyazi ka KHala
ab kahan ehsas-e-besh-o-kam raha
Ghazal
Na-shanasi ka hamesha gham raha
Alimullah Hali