اردو हिंदी
Na-rasa aahen meri auj-e-maraatib pa gain | Shaahi Shayari
na-rasa aahen meri auj-e-maraatib pa gain

Ghazal

Na-rasa aahen meri auj-e-maraatib pa gain

Nooh Narvi

;

na-rasa aahen meri auj-e-maraatib pa gain
dil se niklin lab tak aain aasman par chha gain

naza mein dil se nikal kar jo zaban par aa gain
wo sadaen kuchh na thin lekin qayamat Dha gain

ai nigah-e-dil-nawaz uTh aur mere dil ko dekh
jitni nikli thin tamannaen phir utni chha gain

main umid-e-ghuncha-o-gul ab karun to kya karun
konplen phuTi thin jin shaKHon mein wo murjha gain

KHana-e-dil mein ye aalam aarzuon ka raha
chand niklin chand Thahrin kuchh gain kuchh aa gain

sab ne jaana ek apna ham-watan kam ho gaya
gham agar nikla to dil ki hasraten ghabra gain

surat-e-sailab mazmun ka asar baDhta gaya
'nuh'-e-tufani ki ghazlen KHub shohrat pa gain