اردو हिंदी
Na-muradi hi likhi thi so wo puri ho gai | Shaahi Shayari
na-muradi hi likhi thi so wo puri ho gai

Ghazal

Na-muradi hi likhi thi so wo puri ho gai

Wajd Chughtai

;

na-muradi hi likhi thi so wo puri ho gai
zindagi jal kar bujhi aur rakh jaisi ho gai

log kya samjhen ki gham se shakl kaisi ho gai
aaina TuTa to qimat aur duni ho gai

rafta rafta duriyon se aanch dhimi ho gai
lekin ek taswir thi dil mein jo gahri ho gai

do nigahon ka tasadum chand lamhon ka sawal
aur ruswai jahan mein umr-bhar ki ho gai

yaad se teri hue pur-nur apne roz-o-shab
dil ki ranai baDhi aur raat ujli ho gai

soz-e-dil ne rafta rafta rakh hum ko kar diya
hum ye samjhe the ki shayad aag ThanDi ho gai

kitne jauhar kar diye paida maal-e-ishq ne
dil mein kaisa soz kaisi dard-mandi ho gai

'wajd' hum ab tak na samjhe ramz-e-takmil-e-wafa
dam ghuTa raaton ko aksar jaan aadhi ho gai