اردو हिंदी
Na-KHush dikha ke jis ko naz-o-itab kije | Shaahi Shayari
na-KHush dikha ke jis ko naz-o-itab kije

Ghazal

Na-KHush dikha ke jis ko naz-o-itab kije

Nazeer Akbarabadi

;

na-KHush dikha ke jis ko naz-o-itab kije
ai mehrban phir us ko KHush bhi shitab kije

jo apne mubtala hon aur dil se chahte hon
lazim nahin phir un se rukiye hijab kije

baiThe jo sham tak hum bola wo mehrban ho
jo KHwahishen hain un ka kuchh intiKHab kije

hum ne 'nazir' hans kar us shoKH se kaha yun
hain KHwahishen to itni kya kya hisab kije

mauqe ki ab to ye hai jo waqt-e-shab hai ai jaan
hum baiThe panw daben aur aap KHwab kije