na-karda gunahon ki saza aur hi kuchh hai
mansur anal-haq ki jaza aur hi kuchh hai
kya hum se musafir ko qarar aa bhi sakega
manzil koi manzil ka pata aur hi kuchh hai
girne se bhi dil par kabhi choT aai kisi ko
malum ye hota hai hua aur hi kuchh hai
dushnam-taraazi hi nahin ranj ka bais
mil baiTh ke dekho to gila aur hi kuchh hai
jhampir mein pai hai faqat aabla-pai
masqat ne to 'manzar' ko diya aur hi kuchh hai

Ghazal
Na-karda gunahon ki saza aur hi kuchh hai
Jawed Manzar