na-guzir-e-rishtagi sa hai to ho
warna mujh se kya ilaqa hai to ho
wo mujhe dekhe na main paun use
ab koi mera shanasa hai to ho
pur-kashish hain raste ke pech-o-KHam
chain pane ka Thikana hai to ho
samne hain aasmani wusaten
be-zamini ka zamana hai to ho
chehra-e-ehsas par hai tazgi
aadmi hona purana hai to ho
nazuki ek gul-badan ki sath hai
ab agar pahlu mein kanTa hai to ho
apni banti hi nahin hai 'shah' se
aadmi ye shaKHs achchha hai to ho
Ghazal
Na-guzir-e-rishtagi sa hai to ho
Shah Husain Nahri