na-fahm kahun main use aisa bhi nahin hai
kya shai hai mohabbat wo samajhta bhi nahin hai
mana ki bahut rabta-e-ishq hai nazuk
hum toD saken jis ko wo rishta bhi nahin hai
har shai se juda hai dil-e-barbaad ki fitrat
jab tak na ho barbaad sanwarta bhi nahin hai
ummid hai wabasta meri abr-e-karam se
aur abr-e-karam hai ki barasta bhi nahin hai
aasan nahin is rah-e-mohabbat se guzarna
jis rah mein halka sa ujala bhi nahin hai
har waqt gulistan pe KHizan ki hain nigahen
khulte hue phulon ka bharosa bhi nahin hai
hamdardi ahbab ka kya zikr hai 'shair'
is samt koi dekhne wala bhi nahin hai

Ghazal
Na-fahm kahun main use aisa bhi nahin hai
Shaer Fatahpuri