na zinda na murda na duniya na din ka
mujhe tu ne zalim na rakkha kahin ka
abas imtihan mein lagate ho waqfa
bharosa hai kya meri jaan-e-hazin ka
mujhe ghar mein gardish hai patli ki surat
ye eajaz hai chashm-e-sehr-afrin ka
purana na fitna tere ghar se uTTha
naya aasman hai magar is zamin ka
kabhi mere tan mein kabhi us ke ghar mein
yahi shaghl hai meri jaan-e-hazin ka
ghazab hai meri us se takrar-e-wada
sitam hai jo mauqa mila ab nahin ka
suna tu ne 'aqil' ajab raat guzri
mohabbat ka mazkur nikla kahin ka
Ghazal
Na zinda na murda na duniya na din ka
Meer Mohammad Sultan Aaqil