na zikr gul ka kahin hai na mahtab ka hai
tamam shahr mein charcha tere shabab ka hai
sharab apni jagah chandni hai apni jagah
magar jawab hi kya husn-e-be-naqab ka hai
hue hain na-gahan bismil sharik-e-bazm jo sab
qusur kuchh hai tera kuchh tere naqab ka hai
na tu ne mai chakhi zahid na jurm-e-ishq kiya
to subh o sham tujhe fikr kis azab ka hai
mai-e-tuhur ka is waqt le na nam ai shaiKH
ye waqt-e-sham to angur ki sharab ka hai
'sada' ke pas hai duniya ka tajraba waiz
tumhaari baat mein bas falsafa kitab ka hai
Ghazal
Na zikr gul ka kahin hai na mahtab ka hai
Sada Ambalvi