na zikr-e-ashna ne qissa-e-begana rakhte hain
hadis-e-yar rakhte hain yahi afsana rakhte hain
chaman mein sarw-qad gar jalwa-e-mastana rakhte hain
ba-rang-e-tauq-e-qumri hum KHat-e-paimana rakhte hain
KHayal aankhon ka teri jabki ai jaanana rakhte hain
to jun nargis har ek angusht bar paimana rakhte hain
numayan zulf ke halqe mein kar Tuk KHal-e-ariz ko
ki hain sayyaad jitne dam mein wo dana rakhte hain
ba-juz-aina mashuqon ki kab ho zulf-pardazi
ki aks-e-panja-e-mizhgan se dast-e-shana rakhte hain
bajae halqa-e-kakul hain KHal-e-ru-e-said-afgan
ba-chashm-e-dam ja-e-mardumuk yan dana rakhte hain
bisan-e-chob-o-naqqara hain KHar o aabla-pai
ba-wadi-e-junun-angez naubat-KHana rakhte hain
nahin ashk-e-musalsal ye gareban-gir ai saqi
gale mein apne aashiq subha-e-sad-dana rakhte hain
sada-e-ashnai misl-e-hamdam ho so wo jaane
ki misl-e-bansuri angusht-bar har KHana rakhte hain
na uljho is qadar be-wajh suljhane mein zulfon ke
dil-e-sad-chaak to hum bhi ba-rang-e-shana rakhte hain
dil apna kyun na ho bahr-e-jahan mein jun guhar kala
talash-e-ab hai hum ko na fikr-e-dana rakhte hain
na kyunkar bazm mein raushan ho apni shab ye dil-sozi
ki ulfat shama-ru se hum bhi jun parwana rakhte hain
bahaar aai hai ab to ai junun ho silsila jumban
ki hum muddat se qasd-e-raftan-e-virana rakhte hain
nigah Tuk abru-o-chashm-e-butan par kijiyo zahid
ki ye mehrab-e-masjid ke tale mai-KHana rakhte hain
biThaen sarw-o-shamshad apne sar par kyun na qumri ko
tere qad ke hain bande waz-e-azadana rakhte hain
Thikana kuchh na puchho hum se tum KHana-ba-doshon ka
jahan jun bu-e-gul Thahre wahin kashana rakhte hain
hamein mat chheD kar dekho rulao aur jalao tum
ki tufan chashm mein sine mein aatiash-KHana rakhte hain
karenge baiat-e-dast-e-subu pir-e-mughan tujh se
ki shauq-e-sharb-e-mai hai mashrab-e-rindana rakhte hain
'nasir' ab hum ko kya hai qissa-e-kaunain se matlab
ki chashm-e-pur-fusun-e-yar ka afsana rakhte hain
'nasir' us shoKH se kahna ki pesh-e-chashm-e-hairat mein
tasawwur roz-o-shab tera hum ai jaanana rakhte hain
Ghazal
Na zikr-e-ashna ne qissa-e-begana rakhte hain
Shah Naseer