اردو हिंदी
Na yaad aaya na bhula na saneha mujhko | Shaahi Shayari
na yaad aaya na bhula na saneha mujhko

Ghazal

Na yaad aaya na bhula na saneha mujhko

Aziz Bano Darab Wafa

;

na yaad aaya na bhula na saneha mujh ko
bana gaya jo ek aisa mujassama mujh ko

ki raste mein khaDa but samajh ke chhoD gaya
tamam umr ki yaadon ka qafila mujh ko

main so rahi thi usi dastan mein sadiyon se
sula gaya tha jahan mera hafiza mujh ko

kisi qadim kahani ka ek charagh hun main
bujha ke chhoD gai taq par hawa mujh ko

phir uTh ke nind mein jati thi us taraf har shab
pukarta tha jidhar se mera pata mujh ko

magar ye hosh na tha le ke ja raha hai kahan
bikharti TuTti yaadon ka silsila mujh ko