اردو हिंदी
Na wo walwale hain dil mein na wo aalam-e-jawani | Shaahi Shayari
na wo walwale hain dil mein na wo aalam-e-jawani

Ghazal

Na wo walwale hain dil mein na wo aalam-e-jawani

Hans Raj Sachdev u0027hazii.nu0027

;

na wo walwale hain dil mein na wo aalam-e-jawani
koi le gaya hai mujh se mera daur-e-shadmani

wo bhala chuke hain mujh ko main bhula chuka hun un ko
kabhi pa saki na unwan mere pyar ki kahani

shab-e-hijr ki taDap ne wo maza diya hai mujh ko
ki duaen mangta hun ye taDap ho jawedani

tere kan sun chuke hain nae git bul-hawas ke
mujhe yaad hai wafa ki wahi dastan purani

tujhe kho diya hai pa kar ye meri hai bad-nasibi
kabhi tum bata to dete mujhe wajh-e-bad-gumani

teri mehrbaniyon ki kabhi aarzu thi dil mein
wo maqam aa gaya hai ki garan hai mehrbani

tere pyar mein 'hazin' ko jo mila hai dagh-e-furqat
mere pas ab wahi hai tere pyar ki nishani