na wo wada-e-sar-e-rah hai na wo dosti na nibah hai
na wo dil-farebi ke hain chalan na wo pyari pyari nigah hai
tere hijr mein mah-e-sim-bar koi ghaur se jo kare nazar
meri subh sham se hai batar mera roz shab se siyah hai
hai har ek baat mein ab kaji ki chalan nikale hain aur hi
na wo rabt hai na wo dosti na wo rasm hai na wo rah hai
koi zahr-e-gham piye ta-ba-kai hui sarf-e-saghar-e-ghair mai
na wo joshish-e-sar-e-sham hai na wo wada-e-shab-e-mah hai
bane kyunke phir meri us ki ab ki ye tafraqa hai baDa ghazab
mujhe us se achchhe ki hai talab use mujh se achchhe ki chah hai
kabhi samne se jo wo jae hai kabhi pher munh ko dikhae hai
mujhe dard-e-rashk satae hai ki yahi wo ghairat-e-mah hai
thi nigah pahle to us ki wun kahin dosti mein hua hai yun
diya us ne dil kahin aur kyun yahi 'mushafi' ka gunah hai
Ghazal
Na wo wada-e-sar-e-rah hai na wo dosti na nibah hai
Mushafi Ghulam Hamdani