اردو हिंदी
Na wo taeron ka jamghaT na wo shaKٓH-e-ashiyana | Shaahi Shayari
na wo taeron ka jamghaT na wo shaKٓH-e-ashiyana

Ghazal

Na wo taeron ka jamghaT na wo shaKٓH-e-ashiyana

Danish Farahi

;

na wo taeron ka jamghaT na wo shaKٓH-e-ashiyana
tum ise KHizan kahoge ki bahaar ka zamana

main wafaon ka hun paikar mera jazb-e-muKHlisana
mujhe aazma le hamdam jo tu chahe aazmana

tu mujhe tabah kar de tu mera nishan miTa de
na karunga main gawara magar apna sar jhukana

jo use koi sunega to bhala yaqin karega
ye janab-e-shaiKH hamdam ye dar-e-sharab-KHana

ye ata-e-ishq hi hai ki bana hun main ghazal-KHwan
na tha is ke pahle 'danish' mera zauq shairana