na wo jazbaat ki lahren na ehsasat ka dariya
liye phirta hun aankhon mein ajab KHadshat ka dariya
machalti shoKH maujon ko main apne nam kyun likkhun
ki aaKHir KHushk hoga mausam-e-barsat ka dariya
kise malum ye kashti lage kis ghaT par ja kar
baha le jae kya jaane kidhar haalat ka dariya
kahan is aankh ka jugnu ki chamke bhi to chhupne ko
kahan hum bekason ki baatini zulmat ka dariya
hawaen chup KHala viran faza ghamgin safar mushkil
rawan hadd-e-nazar tak jabr ke lamhat ka dariya
zaban ki KHamushi taqrir ko dafna nahin sakti
nahin rukta 'figar' alfaz-o-taKHliqat ka dariya
Ghazal
Na wo jazbaat ki lahren na ehsasat ka dariya
Amar Singh Figar