اردو हिंदी
Na wo ghar raha na wo baam-o-dar na wo chilmanen na wo palki | Shaahi Shayari
na wo ghar raha na wo baam-o-dar na wo chilmanen na wo palki

Ghazal

Na wo ghar raha na wo baam-o-dar na wo chilmanen na wo palki

Zia Faruqi

;

na wo ghar raha na wo baam-o-dar na wo chilmanen na wo palki
magar ab bhi meri zaban pe hai wahi dastan sin-o-sal ki

chalo baal-o-par ko sameT len karen fikr ab kisi Dal ki
ye ghurub-e-mehr ka waqt hai ye ghaDi hai din ke zawal ki

sabhi mausamon se guzar gaya koi bojh dil pe liye hue
mujhe ras aai na rut koi na wo hijr ki na visal ki

tha dilon ka ye bhi ek imtihan ki takallufat the darmiyan
mujhe Dar tha us ke jawab ka use fikr mere sawal ki

jo chale to rah-e-aman nahin jo ruke to manzilen kho gain
teri rahguzar bhi ajib hai teri manzilen bhi kamal ki

mere zaKHm sare mahak uThe jo chali hawa-e-nihaal-e-gham
koi dasht-e-jaan se guzar gaya uThi gard tere KHayal ki

wo mujhe mila bhi to is tarah milen jaise shams-o-qamar 'ziya'
tha jo lamha is ke uruj ka wo ghaDi thi mere zawal ki