na wapsi hai jahan se wahan hain sab ke sab
zamin pe rah ke zamin par kahan hain sab ke sab
koi bhi ab to kisi ke muKHalifat mein nahin
ab ek dusre ke raazdan hain sab ke sab
qadam qadam pe andhere sawal karte hain
ye kaise nur ka tarz-e-bayan hain sab ke sab
wo bolte hain magar bat rakh nahin pate
zaban rakhte hai par be-zaban hain sab ke sab
sui ke girne ki aahaT se gunj uThte hain
giraft-e-khauf mein KHali makan hain sab ke sab
jhukae sar jo khaDe hain KHilaf zulmon ke
laga hai aisa 'dwij' be-zaban hain sab ke sab
Ghazal
Na wapsi hai jahan se wahan hain sab ke sab
Dwijendra Dwij