اردو हिंदी
Na usko bhul pae hain na humne yaad rakkha hai | Shaahi Shayari
na usko bhul pae hain na humne yaad rakkha hai

Ghazal

Na usko bhul pae hain na humne yaad rakkha hai

Zafar Iqbal

;

na us ko bhul pae hain na hum ne yaad rakkha hai
dil-e-barbaad ko is tarha se aabaad rakkha hai

jhamele aur bhi suljhane wale hain kai pahle
aur us ke wasl ki KHwahish ko sab se baad rakkha hai

ruka rahta hai chaaron samt ashk o aah ka mausam
rawan har lahza karobar-e-abr-o-baad rakkha hai

phir is ki kaamyabi ka koi imkan hi kya ho
agar us shoKH par dawa hi be-buniyaad rakkha hai

KHizan ke KHushk patte jis mein din-bhar khaDkhaDate hain
isi mausam ka nam ab ke bahaar-ijad rakkha hai

ye kya kam hai ki hum hain to sahi fahrist mein us ki
bhale na-shad rakkha hai ki hum ko shad rakkha hai

jise lafz-e-mohabbat ke maani tak nahin aate
use apne liye hum ne yahan ustad rakkha hai

jawab apne ko chahe jo bhi wo malbus pahnae
sawal is dil ne us ke aage madar-zad rakkha hai

'zafar' itna hi kafi hai jo wo raazi rahe hum par
kamar apni pe koi bojh hum ne lad rakkha hai