na us ke nam se waqif na us ki ja malum
milega dekhiye kyunkar wo but KHuda malum
jawab dekhiye dil le ke ye kaha chupke
na ho ye aur kisi ko tere siwa malum
laga ke zaKHm-e-jigar par jo phir namak chhiDka
to is mein hum ko hua aur hi maza malum
badan pari ka tere tan se go ki gora hai
wale wo chahe ki aisa ho gudguda malum
hum us pe marte hain muddat se aur wo kahta hai
qasam KHuda ki hamein to ye ab hua malum
kiya tha ahd na wada na qaul ne iqrar
jo aa gaya wo mere pas shab ko na-malum
jo mujh se hans ke kaha jis liye hum aae hain
'nazir' tum ne bhi sach kahiyo kya kiya malum
kaha ye main ne mujhe kya KHabar tumhin jaano
kisi ke dil ki bhala ji kisi ko kya malum
Ghazal
Na uske nam se waqif na uski ja malum
Nazeer Akbarabadi