na un ka tarz na mera shiar KHatm hua 
na aae wo na mera intizar KHatm hua 
hai tishnagi ko abhi ju-e-bar ki ummid 
agarche silsila-e-kohsar KHatm hua 
ab aashkar hui hai haqiqat-e-duniya 
KHud apne aap pe jab iKHtiyar KHatm hua 
na tha bharosa to rakhte hi kaise ummiden 
suluk-e-waqt se har eatibar KHatm hua 
har ek shakl nazar aa rahi hai aaina 
tilism-e-ishq ka gard-o-ghubar KHatm hua
        Ghazal
Na un ka tarz na mera shiar KHatm hua
Mehwar Noori

