na tumhaara husn jawan raha na hamara ishq jawan raha
na wo tum rahe na wo hum rahe jo raha to gham ka saman raha
na wo bagh hain na ghaTaen hain na wo phul hain na fazaen hain
na wo nikhaten na hawaen hain na wo be-KHudi ka saman raha
na wo dil hai ab na jawaniyan na wo aashiqi ki kahaniyan
na wo gham na ashk-fishaniyan na wo dard-e-dil ka nishan raha
na chaman hai wo na bahaar hai na wo bulbulen na hazar hai
yahi chaar-samt pukar hai na wo rut hai ab na saman raha
na wo umr hai na masarraten na wo aish hai na wo ishraten
na wo aarzuen na hasraten na KHushi ka nam-o-nishan raha
na nishan hai saqi-o-jam ka na wo baada-ha-e-chaman-ada
na mughanniya rahi mahw-e-saz na saz mast-e-fughan raha
ye bahaar-e-gulshan-e-ab-o-gil hai fana asar to hon kyun KHajil
wo gul-e-fasurda hai mera dil ki hamesha nazr-e-KHizan raha
nahin sabr saqiya la bhi de qadah-e-bahaar uTha bhi de
abhi sin hai la ke pila bhi de ki hamesha kaun jawan raha
kahun kya ki ranj-rasida hun main ba-rang-e-abr ramida hun
nafas-e-shamim-e-parida hun ki raha tabah jahan raha
asar-e-bahaar-e-KHizan asar hai ki hai fasurda meri nazar
na hawa-e-ishrat-e-baal-o-par na junun-e-bagh-e-jinan raha
main gul-e-ramida-e-rang-o-bu tu bahaar-e-mai-kada-e-numu
main hamesha KHasta-e-arzu tu hamesha aish-e-jawan raha
na sukun-e-dil na qarar-e-jaan na qayam-e-sabr koi zaman
ye sarishk-e-gham ka hai karwan ki yunhi hamesha rawan raha
tu mata-e-gul-kada-e-nazar gul-e-nau-bahaar-e-bahisht-asar
main wo andalib-e-shikasta par ki hamesha mahw-e-fughan raha
na wo soz-o-saz-e-darun hai ab na wo chashm-e-gul-kada-e-gun hai ab
na wo sar hai ab na junun hai ab na wo zauq-e-shoala-chakan raha
hai falak ki badli hui nazar kahin kisi se 'aKHtar'-e-nala-gar
ki main us ke jaur-e-alam-asar se hamesha mahw-e-fughan raha
Ghazal
Na tumhaara husn jawan raha na hamara ishq jawan raha
Akhtar Shirani

