na tujh se hai na gila aasman se hoga
teri judai ka jhagDa jahan se hoga
tumhaare mere talluq ka log puchhte hain
ki jaise faisla mere bayan se hoga
agar yunhi mujhe rakkha gaya akele mein
baramad aur koi us makan se hoga
judai tai thi magar ye kabhi na socha tha
ki tu juda bhi judagana shan se hoga
guzar rahe hain mere din isi tafaKHur mein
ki agla qais mere KHandan se hoga
Ghazal
Na tujhse hai na gila aasman se hoga
Abbas Tabish