اردو हिंदी
Na Toko dosto uski bahaar nam-e-KHuda | Shaahi Shayari
na Toko dosto uski bahaar nam-e-KHuda

Ghazal

Na Toko dosto uski bahaar nam-e-KHuda

Nazeer Akbarabadi

;

na Toko dosto us ki bahaar nam-e-KHuda
yahi ab ek hai yan gul-ezar nam-e-KHuda

ye wo sanam hai pari-ru ki jis pe hoti thin
hazar jaan se pariyan nisar nam-e-KHuda

usi sanam ki nigahon ki barchhiyan yaro
hui hain mere kaleje ke par nam-e-KHuda

usi ke nashtar-e-mizhgan mein ab wo tezi hai
ki jis se hote hain hum dil-figar nam-e-KHuda

usi sanam ke ruKH o zulf ke tasawwur mein
hamari guzre hai lail-o-nahaar nam-e-KHuda

gali mein kucha o bazar mein hum ab din raat
usi ke waste phirte hain KHwar nam-e-KHuda

usi ke sar ki qasam hai ki hum to mar jate
agar na hota ye gul-ru nigar nam-e-KHuda

bane hain yan jo kai dair aur sanam-KHane
udhar jo jo hota hai us ka guzar nam-e-KHuda

uTha ke sina jhaTak bazu aur bana kar dhaj
chale hai jis ghaDi Thokar ko mar nam-e-KHuda

qadam qadam pe barahman kahen hain bismillah
sanam bhi kahte hain sab bar bar nam-e-KHuda

gharaz jidhar ko nikalta hai ye to har ek ke
zaban se nikle hai be-iKHtiyar nam-e-KHuda

'nazir' ek ghazal aur kah ki tere suKHan
hain ab to sab guhar-e-ab-dar nam-e-KHuda