na to main hur ka maftun na pari ka aashiq
KHak ke putle ka hai KHak ka putla aashiq
saKHt-jaani se faqat main hi raha hun zinda
mar gae warna gham-e-hijr se kiya kya aashiq
sarw-o-qumri gul-o-bulbul hain usi ke jalwe
aap mashuq hai wo aap hai apna aashiq
ishq-e-kaamil mein to hajat amal-e-hub ki nahin
qais mashuq bana ho gai lila aashiq
band aankhen thin abhi mujh ko jo laya sayyaad
na to hun sarw ka warafta na gul ka aashiq
pahle hi katib-e-taqdir ne likkha tha hamein
tera banda tera fidwi tera ruswa aashiq
aarzu hai meri mayyat pe wo roe kah kar
hai ye 'ajiz' mera shaida mera pyara aashiq
Ghazal
Na to main hur ka maftun na pari ka aashiq
Peer Sher Mohammad Ajiz