na to kaam rakhiye shikar se na to dil lagaiye sair se
bas ab aage hazrat-e-ishq-ji chale jaiye ghar hi ko KHair se
wo jo guTka pare ka munh mein le paDe uDte phirte hain jogi-ji
so to bhartpur se udas ho chale aae qila-e-dair se
nahin hote aam ke ru-ba-ru hamein qibla KHas hai aarzu
ki KHuda kare paDe guftugu kisi pir-o-murshid-e-dair se
kaho kis wasile se shaiKH ke shak-o-shubh howe kamal mein
ki jo neamat aap ko pahunchi hai so miyan-ghulam-zubair se
jo KHafa hue to hue aji jo laDe-bhiDe to laDe sahi
gila hai so yar-e-aziz se na ki shikwa surat-e-ghair se
mujhe ek hayat dobara de usi qudrat apni se ai KHuda
ki KHitab-e-fiqra-e-kam-libast kiya tha jin ne uzair se
wo jo hai ali-e-wali wasi hai mohammad-e-arabi aKHi
so tu abd-e-KHas-e-karim hai use dushmani hai nusair se
yahi chaal apni hai 'insha' ab kabhi to daraKHton se KHalte hain
kabhi hai saba se KHitab kuchh kabhi wahsh se kabhi tair se
Ghazal
Na to kaam rakhiye shikar se na to dil lagaiye sair se
Insha Allah Khan u0027Inshau0027