اردو हिंदी
Na to hum bahr se waqif na suKHan jaante hain | Shaahi Shayari
na to hum bahr se waqif na suKHan jaante hain

Ghazal

Na to hum bahr se waqif na suKHan jaante hain

Faiz Khalilabadi

;

na to hum bahr se waqif na suKHan jaante hain
kaise den lafzon ko tartib ye fan jaante hain

wo kisi taur bhi tujh ko na lagaenge gale
ai KHushi jo bhi tera chaal-chalan jaante hain

dil ke mandir mein hain do ek pujari aise
jo na puja na ibaadat na bhajan jaante hain

is liye tham ke rakkha hai junun ka daman
ai KHirad hum tera diwaliya-pan jaante hain

jo mohabbat ke hain alfaz mere honTon par
wo tassub ka tere chir-haran jaante hain

panw phailate hain itna ki hai jitni chadar
apni auqat hai kya KHub apan jaante hain