اردو हिंदी
Na to gundh hun kisi phul ki na hi phul hun kisi bagh ka | Shaahi Shayari
na to gundh hun kisi phul ki na hi phul hun kisi bagh ka

Ghazal

Na to gundh hun kisi phul ki na hi phul hun kisi bagh ka

ShivKumar Bilgarami

;

na to gundh hun kisi phul ki na hi phul hun kisi bagh ka
kisi aankh ko jo na bha saka wo ujaD hun kisi ragh ka

mere ashk se mere dard se nahin wasta hai jahan ko
na to ashk hun kisi 'mir' ka na hi dard hun kisi 'dagh' ka

jo jala kare to jala kare jo bujha rahe to bujha rahe
kisi aur ko na sunai de wahi dard hun main charagh ka

na to yaad hun koi pur-kashish na hi KHwab hun koi KHushnuma
dil-e-shad ko jo kare dukhi wo KHayal hun main dimagh ka

na to pyas hun main sharab ki na hi ghunT hun main sharab ka
bujhi pyas jo na jaga sake wahi ghunT hun main ayagh ka