اردو हिंदी
Na tirgi ke liye hain na raushni ke liye | Shaahi Shayari
na tirgi ke liye hain na raushni ke liye

Ghazal

Na tirgi ke liye hain na raushni ke liye

Maya Khanna Raje Barelvi

;

na tirgi ke liye hain na raushni ke liye
shab-o-sahar ke taqaze hain bandagi ke liye

hamara KHun bhi hazir hai ai KHirad-mando
tumhaare daur ki be-kaif zindagi ke liye

sawad-e-sham to hai aam bazm-e-fitrat mein
magar tulu-e-sahar hai kisi kisi ke liye

rah-e-talab mein andheron ko kosne walo
kisi ne dil bhi jalaya hai raushni ke liye

kuchh aaine bhi teri anjuman mein TuTe hain
tere labon ke tabassum teri KHushi ke liye

faqih-e-shahr se mera salam kah dena
ki zindagi bhi ibaadat hai zindagi ke liye

rida-e-bint-e-inab ban gai bisat-e-nujub
ye ehtimam hai 'raje' kis aadmi ke liye