na Theri jab koi taskin-e-dil ki shakl yaron mein
to aa nikle taDap kar hum tumhaare be-qararon mein
kisi ke ishq mein dard-e-jigar se dil ye kahta hai
idhar bhi aa nikalna hum bhi hain ummidwaron mein
wo matam bazm-e-shadi hai tumhaari jis mein shirkat ho
wo marna zindagi hai tum jahan ho sogwaron mein
talli se ye nafrat hai ki baad-e-marg KHak apni
agar uThti bhi hai ja baiThti hai KHaksaron mein
hamare dil ne hum se bewafai kar ke kya paya
wahan bhi ja ke Thahraya gaya be-e'tibaron mein
wo khinchunga 'jalal' aahen ki us ki KHak uDa dengi
falak ne pis Dala hai samajh kar KHaksaron mein
Ghazal
Na Theri jab koi taskin-e-dil ki shakl yaron mein
Jalal Lakhnavi